Than li to apne kya aghyar kya
Thaan lī to apne kyā aġhyār kyā
hausle ko chiin kī dīvār kyā
dekhiye tārīḳh shāhid hai janāb
ho zabāñ shīrīñ to phir hathiyār kyā
apne hamsā.e kī beTī hai javāñ
bechnā paḌ jā.egā ghar-bār kyā
kaam kuchh bantā nahīñ tadbīr se
hai mujhe maañ kī duā darkār kyā
āḳhirat par jin kī nazreñ jam ga.iiñ
un kī nazroñ meñ bhalā sansār kyā
ishq kī rāhoñ pe chalne ke liye
rāsta pur-ḳhār kyā dushvār kyā
do girohoñ meñ laḌā.ī roz roz
gaañv kā mukhiyā hai janib-dār kyā
bhūke bachche har jagah so jā.eñge
dosto fōtpath kyā aḳhbār kyā
dhuup hī qismat meñ 'shamsī' hai agar
mehrbāñ hoñge bhalā ashjār kyā
Than li to apne kya aghyar kya
hausle ko chin ki diwar kya
dekhiye tariKH shahid hai janab
ho zaban shirin to phir hathiyar kya
apne hamsae ki beTi hai jawan
bechna paD jaega ghar-bar kya
kaam kuchh banta nahin tadbir se
hai mujhe man ki dua darkar kya
aaKHirat par jin ki nazren jam gain
un ki nazron mein bhala sansar kya
ishq ki rahon pe chalne ke liye
rasta pur-KHar kya dushwar kya
do girohon mein laDai roz roz
ganw ka mukhiya hai janib-dar kya
bhuke bachche har jagah so jaenge
dosto footpath kya aKHbar kya
dhup hi qismat mein 'shamsi' hai agar
mehrban honge bhala ashjar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.