Than li usne jab kuchh kar dikhlane ki
Thaan lī us ne jab kuchh kar dikhlāne kī
ek ġhazal tab rach Daalī parvāne kī
tū ne us ko pāgal kar ke chhoḌ diyā
dekhā kaisī hālat hai dīvāne kī
muddat baad bhī us ke tevar vaise the
kis ne koshish kī thī mujhe manāne kī
apnī zulfoñ meñ aTkā kar dil merā
koshish un kī hai ehsān jatāne kī
dil toḌā hai aap ne merā is ke baad
soch rahe haiñ mayyat merī uThāne kī
un kī nazroñ se 'dildār' jhalaktā hai
tayyārī hai āshiq ko dafnāne kī
Than li us ne jab kuchh kar dikhlane ki
ek ghazal tab rach Dali parwane ki
tu ne us ko pagal kar ke chhoD diya
dekha kaisi haalat hai diwane ki
muddat baad bhi us ke tewar waise the
kis ne koshish ki thi mujhe manane ki
apni zulfon mein aTka kar dil mera
koshish un ki hai ehsan jatane ki
dil toDa hai aap ne mera is ke baad
soch rahe hain mayyat meri uThane ki
un ki nazron se 'dildar' jhalakta hai
tayyari hai aashiq ko dafnane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.