Thag raha attar ban kar kyon wo sare shahr ko
Thag rahā attār ban kar kyoñ vo saare shahr ko
naam de kar itr kā vo bechtā hai zahr ko
toḌ nāzuk phuul vo laatā hai har din baaġh se
phir masaltā hai unheñ vo sub.h shab dopahar ko
dekh kar ye sab na jaane so rahā hai kyoñ ḳhudā
zalzala le aa abhī yā rok to is qahr ko
likh raheñ haiñ ham sabhī ash.ār jo yuuñ baiTh kar
kyā kabhī ash.ār ye badleñge bhī is dahr ko
Thag raha attar ban kar kyon wo sare shahr ko
nam de kar itr ka wo bechta hai zahr ko
toD nazuk phul wo lata hai har din bagh se
phir masalta hai unhen wo subh shab dopahar ko
dekh kar ye sab na jaane so raha hai kyon KHuda
zalzala le aa abhi ya rok to is qahr ko
likh rahen hain hum sabhi ashaar jo yun baiTh kar
kya kabhi ashaar ye badlenge bhi is dahr ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.