Thahar gae hain kai jugnu jagmagate hue
Thahar ga.e haiñ ka.ī jugnū jagmagāte hue
kisī ne dekhā hameñ aise muskurāte hue
maiñ chāhtā huuñ ki vo bhī ḳhushī meñ shāmil ho
so rone lagtā huuñ aksar ḳhushī manāte hue
'ajīb ḳhauf añdhere kā mujh ko thā us raat
pasīne aa ga.e mujh ko diyā bujhāte hue
hameñ bhī jaise achānak hī ghar kī yaad aa.ī
parinde shaam ko jab guzre chahchahāte hue
vo ek rut kā musāfir thā rokte bhī kyā
ham us ko dekh hī sakte the duur jaate hue
nigāh-e-lams se ab us ko dekhnā thā hameñ
so aañkh muuñd lī us ke qarīb jaate hue
phir uñgliyoñ se mirī risne lag gayā paanī
safed kāġhazoñ par machhliyāñ banāte hue
Thahar gae hain kai jugnu jagmagate hue
kisi ne dekha hamein aise muskuraate hue
main chahta hun ki wo bhi KHushi mein shamil ho
so rone lagta hun aksar KHushi manate hue
'ajib KHauf andhere ka mujh ko tha us raat
pasine aa gae mujh ko diya bujhate hue
hamein bhi jaise achanak hi ghar ki yaad aai
parinde sham ko jab guzre chahchahate hue
wo ek rut ka musafir tha rokte bhi kya
hum us ko dekh hi sakte the dur jate hue
nigah-e-lams se ab us ko dekhna tha hamein
so aankh mund li us ke qarib jate hue
phir ungliyon se meri risne lag gaya pani
safed kaghazon par machhliyan banate hue
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 33)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.