Thahar ke chhat pe hawaon ko rok rakkha hai
Thahar ke chhat pe havāoñ ko rok rakkhā hai
ye kis ne chāñd sitāroñ ko rok rakkhā hai
bhalī nahīñ hai ye duniyā pa terī āñkhoñ ne
ham aise jaane hī kitnoñ ko rok rakkhā hai
lipaT to jaa.eñ ye jaate hue parindoñ se
magar anā ne daraḳhtoñ ko rok rakkhā hai
zarā sā ro ye jabīñ chuum aur jaane de
tirī ḳhamoshī ne qadmoñ ko rok rakkhā hai
lagā hai ham ko milāne meñ jazb-e-'ishq magar
'ajīb ḳhauf ne donoñ ko rok rakkhā hai
agarche aa chukā hai kab se manzar-e-hijrat
hamīñ ne apnī in āñkhoñ ko rok rakkhā hai
bachā to kuchh bhī nahīñ in za'īf peḌoñ meñ
to kyā hai jis ne parindoñ ko rok rakkhā hai
Thahar ke chhat pe hawaon ko rok rakkha hai
ye kis ne chand sitaron ko rok rakkha hai
bhali nahin hai ye duniya pa teri aankhon ne
hum aise jaane hi kitnon ko rok rakkha hai
lipaT to jaen ye jate hue parindon se
magar ana ne daraKHton ko rok rakkha hai
zara sa ro ye jabin chum aur jaane de
teri KHamoshi ne qadmon ko rok rakkha hai
laga hai hum ko milane mein jazb-e-'ishq magar
'ajib KHauf ne donon ko rok rakkha hai
agarche aa chuka hai kab se manzar-e-hijrat
hamin ne apni in aankhon ko rok rakkha hai
bacha to kuchh bhi nahin in za'if peDon mein
to kya hai jis ne parindon ko rok rakkha hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 93)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.