Thahar ke dekh tu is KHak se kya kya nikal aaya
Thahar ke dekh tu is KHak se kya kya nikal aaya
Imran Shamshad Narmi
MORE BYImran Shamshad Narmi
Thahar ke dekh tū is ḳhaak se kyā kyā nikal aayā
mirī pur-gard peshānī se bhī sajda nikal aayā
kahīñ pīpal uge haiñ tīsrī manzil ke chhajje par
kahīñ khiḌkī kī chaukhaT se koī qabza nikal aayā
hamārā rāsta to ilm kā thā justujū kā thā
na jaane kaun se raste se ye rasta nikal aayā
to kyā har ilm mushkil kī badaulat sīkhte haiñ ham
jahāñ dushvāriyāñ pahuñchīñ vahīñ rasta nikal aayā
ḳhudā jaane ye ilm-e-hai.at-e-ashyā kahāñ Thahre
jise unsur sā samjhā thā murkkab sā nikal aayā
ye manzil qaid-ḳhāna lag rahī thī kuchh dinoñ pahle
aur ab is qaid-ḳhāne kā bhī darvāza nikal aayā
bahut nazdīk aane kā bahāna mil gayā ham ko
tumhārā aur merā duur kā rishta nikal aayā
kisī ke ā.īna-ḳhāne meñ apnā aks bhī gum hai
kisī ke ā.īñe meñ ā.īna-ḳhāna nikal aayā
yahāñ tak maiñ baḌī mushkil baḌī koshish se pahuñchā thā
magar sandūq kholā to nayā naqsha nikal aayā
tumhāre shahr kī saḌkeñ bhī bārish dho ga.ī hogī
hamāre gaañv kī galiyoñ meñ to sabza nikal aayā
Thahar ke dekh tu is KHak se kya kya nikal aaya
meri pur-gard peshani se bhi sajda nikal aaya
kahin pipal uge hain tisri manzil ke chhajje par
kahin khiDki ki chaukhaT se koi qabza nikal aaya
hamara rasta to ilm ka tha justuju ka tha
na jaane kaun se raste se ye rasta nikal aaya
to kya har ilm mushkil ki badaulat sikhte hain hum
jahan dushwariyan pahunchin wahin rasta nikal aaya
KHuda jaane ye ilm-e-haiat-e-ashya kahan Thahre
jise unsur sa samjha tha murkkab sa nikal aaya
ye manzil qaid-KHana lag rahi thi kuchh dinon pahle
aur ab is qaid-KHane ka bhi darwaza nikal aaya
bahut nazdik aane ka bahana mil gaya hum ko
tumhaara aur mera dur ka rishta nikal aaya
kisi ke aaina-KHane mein apna aks bhi gum hai
kisi ke aaine mein aaina-KHana nikal aaya
yahan tak main baDi mushkil baDi koshish se pahuncha tha
magar sanduq khola to naya naqsha nikal aaya
tumhaare shahr ki saDken bhi barish dho gai hogi
hamare ganw ki galiyon mein to sabza nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.