Thahra hua aankhon mein jo sailab-e-ziya tha
Thahrā huā āñkhoñ meñ jo sailāb-e-ziyā thā
ye pichhle pahar kaun thā tum the ki ḳhudā thā
muddat se to ab yaad bhī aatī nahīñ us kī
ye nuur sā lekin mire ġham-ḳhāne meñ kyā thā
maiñ aur tire sho’la-e-ruḳh ko karūñ badnām
kah dūñgā ki ye haath to vaise hī jalā thā
mātam hai dam-e-sub.h jo lahroñ kī zabāñ par
ye āḳhir-e-shab kaun samandar meñ girā thā
ab ahl-e-gulistāñ ko yaqīñ aa.e na aa.e
ik phuul to dāman meñ hamāre bhī khilā thā
hālāt ne tanhā mujhe is darja kiyā hai
bāvar nahīñ hotā ki kabhī tū bhī milā thā
palkoñ pe mahakte the idhar phuul lahū ke
ai 'nūr' udhar mashġhala-e-shauq-e-hinā thā
Thahra hua aankhon mein jo sailab-e-ziya tha
ye pichhle pahar kaun tha tum the ki KHuda tha
muddat se to ab yaad bhi aati nahin us ki
ye nur sa lekin mere gham-KHane mein kya tha
main aur tere sho’la-e-ruKH ko karun badnam
kah dunga ki ye hath to waise hi jala tha
matam hai dam-e-subh jo lahron ki zaban par
ye aaKHir-e-shab kaun samandar mein gira tha
ab ahl-e-gulistan ko yaqin aae na aae
ek phul to daman mein hamare bhi khila tha
haalat ne tanha mujhe is darja kiya hai
bawar nahin hota ki kabhi tu bhi mila tha
palkon pe mahakte the idhar phul lahu ke
ai 'nur' udhar mashghala-e-shauq-e-hina tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.