Thahre hue na bahte hue paniyon mein hun
Thahre hue na bahte hue pāniyoñ meñ huuñ
ye maiñ kahāñ huuñ kaisī pareshāniyoñ meñ huuñ
ik pal ko bhī sukūn se jiinā muhāl hai
kin dushmanān-e-jāñ kī nigahbāniyoñ meñ huuñ
yuuñ jal ke raakh ḳhvāb ke paikar hue ki bas
ik ā.īna banā huā hairāniyoñ meñ huuñ
jab raah sahl thī to baḌī mushkiloñ meñ thā
ab raah hai kaThin to kuchh āsāniyoñ meñ huuñ
āsāñ nahīñ hai itnā ki bik jā.ūñ us ke haath
arzāñ nahīñ huuñ ḳhvāh farāvāniyoñ meñ huuñ
mujh ko bhī ilm ḳhuub hai sab madd-o-jazr kā
maiñ bhī to sab ke saath inhīñ pāniyoñ meñ huuñ
'mohsin' tamām-tar sar-o-sāmāñ ke bāvajūd
pūchho na kitnī be-sar-o-sāmāniyoñ meñ huuñ
Thahre hue na bahte hue paniyon mein hun
ye main kahan hun kaisi pareshaniyon mein hun
ek pal ko bhi sukun se jina muhaal hai
kin dushmanan-e-jaan ki nigahbaniyon mein hun
yun jal ke rakh KHwab ke paikar hue ki bas
ek aaina bana hua hairaniyon mein hun
jab rah sahl thi to baDi mushkilon mein tha
ab rah hai kaThin to kuchh aasaniyon mein hun
aasan nahin hai itna ki bik jaun us ke hath
arzan nahin hun KHwah farawaniyon mein hun
mujh ko bhi ilm KHub hai sab madd-o-jazr ka
main bhi to sab ke sath inhin paniyon mein hun
'mohsin' tamam-tar sar-o-saman ke bawajud
puchho na kitni be-sar-o-samaniyon mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.