Thahre jo kahin aankh tamasha nazar aae
Interesting Fact
Shab-Khoon, Allahabad
Thahre jo kahīñ aañkh tamāshā nazar aa.e
sūraj meñ dhuāñ chāñd meñ sahrā nazar aa.e
raftār se tābinda umīdoñ ke jharoke
Thahrūñ to har ik samt añdherā nazar aa.e
sāñchoñ meñ Dhale qahqahe sochī huī bāteñ
har shaḳhs ke kāñdhoñ pe janāza nazar aa.e
har rāhguzar rāsta bhūlā huā bālak
har haath meñ miTTī kā khilaunā nazar aa.e
khoī haiñ abhī maiñ ke dhuñdlakoñ meñ nigāheñ
haT jaa.e ye dīvār to duniyā nazar aa.e
jis se bhī mileñ jhuk ke mileñ hañs ke hoñ ruḳhsat
aḳhlāq bhī is shahr meñ pesha nazar aa.e
Thahre jo kahin aankh tamasha nazar aae
suraj mein dhuan chand mein sahra nazar aae
raftar se tabinda umidon ke jharoke
Thahrun to har ek samt andhera nazar aae
sanchon mein Dhale qahqahe sochi hui baaten
har shaKHs ke kandhon pe janaza nazar aae
har rahguzar rasta bhula hua baalak
har hath mein miTTi ka khilauna nazar aae
khoi hain abhi main ke dhundlakon mein nigahen
haT jae ye diwar to duniya nazar aae
jis se bhi milen jhuk ke milen hans ke hon ruKHsat
aKHlaq bhi is shahr mein pesha nazar aae
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 78)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.