Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thahre pani ko wahi ret purani de de

Hasan Rizvi

Thahre pani ko wahi ret purani de de

Hasan Rizvi

MORE BYHasan Rizvi

    Thahre paanī ko vahī ret purānī de de

    mere maulā mire dariyā ko ravānī de de

    aaj ke din kareñ tajdīd-e-vafā dhartī se

    phir vahī sub.h vahī shaam suhānī de de

    terī miTTī se mirā bhī to ḳhamīr uTThā hai

    merī dhartī mujhe merī kahānī de de

    vo mohabbat jise ham bhuul chuke barsoñ se

    us ḳhushbū bataur ek nishānī de de

    tapte sahrāoñ pe ho lutf-o-karam bārish

    ḳhushk chashmoñ ke kināroñ ko bhī paanī de de

    dīda-o-dil jise ab yaad kiyā karte haiñ

    vahī chehra vahī āñkheñ vo javānī de de

    jis chāhat meñ 'hasan' āñkheñ bichhī jaatī haiñ

    merī āñkhoñ ko vahī la.al-e-yamānī de de

    Thahre pani ko wahi ret purani de de

    mere maula mere dariya ko rawani de de

    aaj ke din karen tajdid-e-wafa dharti se

    phir wahi subh wahi sham suhani de de

    teri miTTi se mera bhi to KHamir uTTha hai

    meri dharti tu mujhe meri kahani de de

    wo mohabbat jise hum bhul chuke barson se

    us ki KHushbu hi bataur ek nishani de de

    tapte sahraon pe ho lutf-o-karam ki barish

    KHushk chashmon ke kinaron ko bhi pani de de

    dida-o-dil jise ab yaad kiya karte hain

    wahi chehra wahi aankhen wo jawani de de

    jis ki chahat mein 'hasan' aankhen bichhi jati hain

    meri aankhon ko wahi lal-e-yamani de de

    Source :
    • Book : Mujalla Dastavez (Pg. 163)
    • Author : Aziz Nabeel
    • Publication : Edarah Dastavez (2010)
    • Edition : 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now