Thahri hui yaadon ka jahan kyon nahin jata
Thahrī huī yādoñ kā jahāñ kyoñ nahīñ jaatā
muddat huī āñkhoñ se dhuāñ kyoñ nahīñ jaatā
ummīd kī shāḳhoñ meñ samar kyoñ nahīñ aate
murjhā.e hue dil meñ gumāñ kyoñ nahīñ jaatā
gulshan ke har ik goshe meñ hai jashn-e-bahārāñ
dil se magar ehsās-e-ḳhizāñ kyoñ nahīñ jaatā
un se to zarā pūchhiye bāzār-e-vafā se
ye silsila-e-sūd-o-ziyāñ kyoñ nahīñ jaatā
mai-ḳhāna bahut duur hai in āñkhoñ se lekin
shīshoñ ke chaTaḳhne kā samāñ kyoñ nahīñ jaatā
uljhe hue hālāt kī gutthī nahīñ khultī
nāḳhun se mire qarz-e-girāñ kyoñ nahīñ jaatā
Thahri hui yaadon ka jahan kyon nahin jata
muddat hui aankhon se dhuan kyon nahin jata
ummid ki shaKHon mein samar kyon nahin aate
murjhae hue dil mein guman kyon nahin jata
gulshan ke har ek goshe mein hai jashn-e-bahaaran
dil se magar ehsas-e-KHizan kyon nahin jata
un se to zara puchhiye bazar-e-wafa se
ye silsila-e-sud-o-ziyan kyon nahin jata
mai-KHana bahut dur hai in aankhon se lekin
shishon ke chaTaKHne ka saman kyon nahin jata
uljhe hue haalat ki gutthi nahin khulti
naKHun se mere qarz-e-giran kyon nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.