Thahro to zara dekho abhi kaam chale hai
Thahro to zarā dekho abhī kaam chale hai
mahfil meñ hamārī bhī taraf jaam chale hai
vahshat na mohabbat na haqīqat na ḳhirad hai
is tarh zamāne meñ kahīñ naam chale hai
lamhāt-e-mohabbat ke janāze ko uThā.e
dil aaj sū-e-manzil-e-kohrām chale hai
vo chauñk uThe ḳhush huuñ isī baat ko sun kar
itnā to zamāne meñ mirā naam chale hai
tanhā to nahīñ huuñ maiñ rah-e-zīst meñ 'aḳhtar'
ham-rāh mire gardish-e-ayyām chale hai
Thahro to zara dekho abhi kaam chale hai
mahfil mein hamari bhi taraf jam chale hai
wahshat na mohabbat na haqiqat na KHirad hai
is tarh zamane mein kahin nam chale hai
lamhat-e-mohabbat ke janaze ko uThae
dil aaj su-e-manzil-e-kohram chale hai
wo chaunk uThe KHush hun isi baat ko sun kar
itna to zamane mein mera nam chale hai
tanha to nahin hun main rah-e-zist mein 'aKHtar'
ham-rah mere gardish-e-ayyam chale hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.