thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujhko
thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujhko
Mushtaq Ahmad Noori
MORE BYMushtaq Ahmad Noori
thak ke baiThā thā ki manzil nazar aa.ī mujh ko
hausla dene lagī ābla-pā.ī mujh ko
nazr kar dete haiñ vo apnī kamā.ī mujh ko
sar uThāne nahīñ dete mire bhaa.ī mujh ko
maiñ jahāñ jaatā huuñ is paikar-e-nūrī ke sivā
aur kuchh bhī nahīñ detā hai dikhā.ī mujh ko
is sitam-pesha ne qurbat kā na marham rakkhā
'umr-bhar detā rahā zaḳhm-e-judā.ī mujh ko
mushkiloñ meñ bhī mire hausle shādāb rahe
rok saktī hī nahīñ vaqt kī khaa.ī mujh ko
maiñ to har saañs ko detā rahā jiine kā ḳhirāj
zindagī phir bhī kabhī raas na aa.ī mujh ko
us se barham maiñ nahīñ phir bhī magar merā harīf
'umr-bhar detā rahā apnī safā.ī mujh ko
tere aane kī ḳhabar ne mujhe bechain rakhā
so gayā chāñd magar niiñd na aa.ī mujh ko
isī ummīd pe marmar ke jiye jaatā huuñ
vo mirī qaid se kab degā rihā.ī mujh ko
mujh se kuchh sunñe pe āmāda na thī ḳhalq-e-ḳhudā
'umr-bhar us ne magar apnī sunā.ī mujh ko
ik na.e ġham se shanāsā kiyā mahrūmī ne
zindagī jab bhī tirī bazm meñ laa.ī mujh ko
vo bhī sharminda nazar aatā hai 'nūrī' aksar
nazar aatī hī nahīñ jis meñ burā.ī mujh ko
thak ke baiTha tha ki manzil nazar aai mujh ko
hausla dene lagi aabla-pai mujh ko
nazr kar dete hain wo apni kamai mujh ko
sar uThane nahin dete mere bhai mujh ko
main jahan jata hun is paikar-e-nuri ke siwa
aur kuchh bhi nahin deta hai dikhai mujh ko
is sitam-pesha ne qurbat ka na marham rakkha
'umr-bhar deta raha zaKHm-e-judai mujh ko
mushkilon mein bhi mere hausle shadab rahe
rok sakti hi nahin waqt ki khai mujh ko
main to har sans ko deta raha jine ka KHiraj
zindagi phir bhi kabhi ras na aai mujh ko
us se barham main nahin phir bhi magar mera harif
'umr-bhar deta raha apni safai mujh ko
tere aane ki KHabar ne mujhe bechain rakha
so gaya chand magar nind na aai mujh ko
isi ummid pe marmar ke jiye jata hun
wo meri qaid se kab dega rihai mujh ko
mujh se kuchh sunne pe aamada na thi KHalq-e-KHuda
'umr-bhar us ne magar apni sunai mujh ko
ek nae gham se shanasa kiya mahrumi ne
zindagi jab bhi teri bazm mein lai mujh ko
wo bhi sharminda nazar aata hai 'nuri' aksar
nazar aati hi nahin jis mein burai mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.