thaka-haara hua hun mat kaho kuchh
thakā-hārā huā huuñ mat kaho kuchh
ġhamoñ meñ mubtalā huuñ mat kaho kuchh
koī chaltā nahīñ jis rāste par
maiñ us rah par chalā huuñ mat kaho kuchh
bhañvar se maiñ nikal kar aa gayā par
bahut sahmā huā huuñ mat kaho kuchh
lagā dī thī kisī ne aag mujh meñ
maiñ mushkil se bujhā huuñ mat kaho kuchh
ḳhatā vo ho ga.ī hai mujh se ḳhud kī
nazar se gir rahā huuñ mat kaho kuchh
huā jo kuchh jahāñ meñ saath mere
maiñ sab kuchh kah chukā huuñ mat kaho kuchh
maiñ rustam to nahīñ huuñ phir bhī 'ahmad'
zarā ḳhud se chhupā huuñ mat kaho kuchh
thaka-haara hua hun mat kaho kuchh
ghamon mein mubtala hun mat kaho kuchh
koi chalta nahin jis raste par
main us rah par chala hun mat kaho kuchh
bhanwar se main nikal kar aa gaya par
bahut sahma hua hun mat kaho kuchh
laga di thi kisi ne aag mujh mein
main mushkil se bujha hun mat kaho kuchh
KHata wo ho gai hai mujh se KHud ki
nazar se gir raha hun mat kaho kuchh
hua jo kuchh jahan mein sath mere
main sab kuchh kah chuka hun mat kaho kuchh
main rustam to nahin hun phir bhi 'ahmad'
zara KHud se chhupa hun mat kaho kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.