thakan ke sath baDha halqa-e-nazar mera
thakan ke saath baḌhā halqa-e-nazar merā
huā na ḳhatm kisī moḌ par safar merā
ubuur kar luuñ abhī zindagī kā vīrāna
khaḌā huā hai magar rāste meñ Dar merā
bhaTak rahā huuñ maiñ hālāt ke añdheroñ meñ
chamak rahā hai tire āñsuoñ se ghar merā
milā jo qurb to raushan hue sabhī ḳhāke
taras rahā thā usī aag ko hunar merā
ḳhud apne aap ko samjhā ke lauT aayā huuñ
koī bhī bas na chalā jab hujūm par merā
vo shor thā na sunī apne jism kī āvāz
bulā rahā thā mujhe kab se ham-safar merā
maiñ ghar gayā huuñ makānoñ ke darmiyāñ 'rāshid'
paḌā nahīñ abhī saaya zamīn par merā
thakan ke sath baDha halqa-e-nazar mera
hua na KHatm kisi moD par safar mera
ubur kar lun abhi zindagi ka virana
khaDa hua hai magar raste mein Dar mera
bhaTak raha hun main haalat ke andheron mein
chamak raha hai tere aansuon se ghar mera
mila jo qurb to raushan hue sabhi KHake
taras raha tha usi aag ko hunar mera
KHud apne aap ko samjha ke lauT aaya hun
koi bhi bas na chala jab hujum par mera
wo shor tha na suni apne jism ki aawaz
bula raha tha mujhe kab se ham-safar mera
main ghar gaya hun makanon ke darmiyan 'rashid'
paDa nahin abhi saya zamin par mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.