thakan ki barf jami jism ke alaw mein
thakan kī barf jamī jism ke alaav meñ
lahū bhī sard huā āḳhirī paḌāv meñ
sirāt-e-marg pe patthar kī ek raqqāsa
khaḌī hai sīna-sipar vaqt ke bahāv meñ
palaT ke aayā kisī jal-parī se milne ko
hamāre saath samundar hamārī naav meñ
badan kī aag to bujhne ko hai magar ab bhī
tamām raat sulagtā hai dard ghaav meñ
guzārī sub.h-e-azal ne'matoñ kī gintī meñ
abad kī shaam farishtoñ se bhāv-tāv meñ
kahīñ to haath se chhuTegī jā ke 'umr kī Dor
kahāñ talak ye khiñche saañs ke tanāv meñ
ab aur kaisī du'āoñ kī bārisheñ maulā
mirā makān hai sailāb ke kaTāv meñ
thakan ki barf jami jism ke alaw mein
lahu bhi sard hua aaKHiri paDaw mein
siraat-e-marg pe patthar ki ek raqqasa
khaDi hai sina-sipar waqt ke bahaw mein
palaT ke aaya kisi jal-pari se milne ko
hamare sath samundar hamari naw mein
badan ki aag to bujhne ko hai magar ab bhi
tamam raat sulagta hai dard ghaw mein
guzari subh-e-azal ne'maton ki ginti mein
abad ki sham farishton se bhaw-taw mein
kahin to hath se chhuTegi ja ke 'umr ki Dor
kahan talak ye khinche sans ke tanaw mein
ab aur kaisi du'aon ki barishen maula
mera makan hai sailab ke kaTaw mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.