thakan se jism mera jab bhi TuT jaega
thakan se jism mirā jab bhī TuuT jā.egā
tirā ḳhayāl mirā hausla baḌhā.egā
rafāqatoñ kā safar der tak nahīñ rahtā
kisī maqām pe ye chāñd Duub jā.egā
Thahar gayā mirī āñkhoñ meñ dard kā mausam
tirā ḳhayāl mujhe jaane kab rulā.egā
vo jin ke ghar meñ kitāboñ ko khā ga.ī dīmak
unheñ batāo kahāñ se shu'ūr aa.egā
ye 'ishq lā.egā us moḌ par tujhe ik din
ġhazal nahīñ to mirā naam gungunā.egā
thakan se jism mera jab bhi TuT jaega
tera KHayal mera hausla baDhaega
rafaqaton ka safar der tak nahin rahta
kisi maqam pe ye chand Dub jaega
Thahar gaya meri aankhon mein dard ka mausam
tera KHayal mujhe jaane kab rulaega
wo jin ke ghar mein kitabon ko kha gai dimak
unhen batao kahan se shu'ur aaega
ye 'ishq laega us moD par tujhe ek din
ghazal nahin to mera nam gungunaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.