thakan se kuchh na kuchh main duri-e-manzil se kahti hun
thakan se kuchh na kuchh main duri-e-manzil se kahti hun
Ishrat Jahan Tarab
MORE BYIshrat Jahan Tarab
thakan se kuchh na kuchh maiñ dūrī-e-manzil se kahtī huuñ
jo kuchh achchhā burā kahtī huuñ apne dil se kahtī huuñ
uThā kar husn kā parda dikhā do jalva-e-rangīñ
maiñ itnī baat bhī tum se baḌī mushkil se kahtī huuñ
thapeḌe par thapeḌe khā ke jab āñkheñ uThātī huuñ
ishāroñ meñ ḳhudā ma.alūm kyā sāhil se kahtī huuñ
taqāzā zabt-e-ġham kartā hai kyā kyā muskurāne kā
taḌapne ke liye maiñ zaḳhm ḳhurda dil se kahtī huuñ
bhayānak raat meñ ġham kī rah-e-ulfat kā afsāna
akele baiTh kar pahroñ ḳhud apne dil se kahtī huuñ
jo pāband-e-mohabbat haiñ ajal se Dar nahīñ sakte
mirī gardan pe ḳhanjar pher maiñ qātil se kahtī huuñ
na jaane kyoñ tarab bār-e-garāñ hotā hai majnūñ ko
agar maiñ baat koī lailā-e-mahmil se kahtī huuñ
thakan se kuchh na kuchh main duri-e-manzil se kahti hun
jo kuchh achchha bura kahti hun apne dil se kahti hun
uTha kar husn ka parda dikha do jalwa-e-rangin
main itni baat bhi tum se baDi mushkil se kahti hun
thapeDe par thapeDe kha ke jab aankhen uThati hun
ishaaron mein KHuda malum kya sahil se kahti hun
taqaza zabt-e-gham karta hai kya kya muskurane ka
taDapne ke liye main zaKHm KHurda dil se kahti hun
bhayanak raat mein gham ki rah-e-ulfat ka afsana
akele baiTh kar pahron KHud apne dil se kahti hun
jo paband-e-mohabbat hain ajal se Dar nahin sakte
meri gardan pe KHanjar pher main qatil se kahti hun
na jaane kyon tarab bar-e-garan hota hai majnun ko
agar main baat koi laila-e-mahmil se kahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.