thake to aise thake pahli raat taqriban
thake to aise thake pahlī raat taqrīban
ḳhudā.ī kar ga.e mehñdī ke haath taqrīban
hamāre bas meñ use de ke yuuñ lagā jaise
ḳhudā ne sauñp dī thī kā.enāt taqrīban
na koī jhoñk na jhapkī hī aañkh meñ aa.ī
guzar chalī thī guzarne kī raat taqrīban
har ik maqām par apnā hī sāmnā ḳhud se
harīf ban ga.ī apnī hī zaat taqrīban
qadam qadam pe zamāne ke kaam yuuñ aa.e
Dubo ga.iiñ hameñ apnī sifāt taqrīban
ka.ī hazār shagūfe khilā ga.ī dil meñ
jo zer-e-lab hī kahī ek baat taqrīban
vahīñ pe chhūT gayā apnā saath bhī ham se
jahāñ par aa ke chhuTā un kā haath taqrīban
thake to aise thake pahli raat taqriban
KHudai kar gae mehndi ke hath taqriban
hamare bas mein use de ke yun laga jaise
KHuda ne saunp di thi kaenat taqriban
na koi jhonk na jhapki hi aankh mein aai
guzar chali thi guzarne ki raat taqriban
har ek maqam par apna hi samna KHud se
harif ban gai apni hi zat taqriban
qadam qadam pe zamane ke kaam yun aae
Dubo gain hamein apni sifat taqriban
kai hazar shagufe khila gai dil mein
jo zer-e-lab hi kahi ek baat taqriban
wahin pe chhuT gaya apna sath bhi hum se
jahan par aa ke chhuTa un ka hath taqriban
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.