thake to qafila wapas gharon ko moD liya
thake to qāfila vāpas gharoñ ko moḌ liyā
safar se toḌ ke naata shajar se joḌ liyā
kabhī jo roknā chāhī zamīn kī gardish
tirī kalā.ī ko ham ne zarā maroḌ liyā
ġhubār jo mire pīchhe thakā thakā sā uThā
samajh rahā thā ki maiñ ne ziyāda dauḌ liyā
galī meñ chalte hue khīñch lī tirī tasvīr
guzarne vaale ne pattā shajar se toḌ liyā
phaTe libās meñ kuchh 'aib baḌh ga.e mere
phir āsmān hī apne badan pe oḌh liyā
zarā sahar kā alāram jo der se bolā
qarīb soī huī sub.h ko jhiñjhoḌ liyā
ye aañkh ḳhvāb se ḳhālī nahīñ huī 'hāris'
Tapakte dāman-e-tar ko baḌā nichoḌ liyā
thake to qafila wapas gharon ko moD liya
safar se toD ke nata shajar se joD liya
kabhi jo rokna chahi zamin ki gardish
teri kalai ko hum ne zara maroD liya
ghubar jo mere pichhe thaka thaka sa uTha
samajh raha tha ki main ne ziyaada dauD liya
gali mein chalte hue khinch li teri taswir
guzarne wale ne patta shajar se toD liya
phaTe libas mein kuchh 'aib baDh gae mere
phir aasman hi apne badan pe oDh liya
zara sahar ka alaram jo der se bola
qarib soi hui subh ko jhinjhoD liya
ye aankh KHwab se KHali nahin hui 'haaris'
Tapakte daman-e-tar ko baDa nichoD liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.