the dilase jhuT sab dete nahin ab dhir ye
the dilāse jhuuT sab dete nahīñ ab dhiir ye
haiñ du'ā de kar ke rote ab mujhe sab piir ye
tum mujhe ab thaam lo maiñ ghul rahī huuñ raakh sī
haiñ Dubone meñ lage bahte hue ab niir ye
thī kabhī zinda magar ab ek zinda laash huuñ
aaj hai be-jān sī be-rang sī tasvīr ye
ab kisī se hai nahīñ shikva mujhe jo ġham milā
bevafā thī jab mirī apnī burī taqdīr ye
jaan se jaanā mujhe thā 'ishq kā dastūr hai
lo akelī rah ga.ī rāñjhe binā phir hiir ye
the dilase jhuT sab dete nahin ab dhir ye
hain du'a de kar ke rote ab mujhe sab pir ye
tum mujhe ab tham lo main ghul rahi hun rakh si
hain Dubone mein lage bahte hue ab nir ye
thi kabhi zinda magar ab ek zinda lash hun
aaj hai be-jaan si be-rang si taswir ye
ab kisi se hai nahin shikwa mujhe jo gham mila
bewafa thi jab meri apni buri taqdir ye
jaan se jaana mujhe tha 'ishq ka dastur hai
lo akeli rah gai ranjhe bina phir hir ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.