the hisar-e-shahr mein to baam-o-dar achchhe lage
the hisār-e-shahr meñ to bām-o-dar achchhe lage
aur vīrāne meñ jab aa.e khañDar achchhe lage
pattharoñ kā Dher hī goyā muqaddar ban gayā
mere āñgan ke daraḳhtoñ meñ samar achchhe lage
fikr merī dā.era-dar-dā.era baTtī ga.ī
shauq se pairoñ ne jo paa.e bhañvar achchhe lage
kaun aisā din huā maqtal kī rut murjhā ga.ī
kab huā aisā hameñ kāñdhoñ pe sar achchhe lage
apne gird-o-pesh ko dekhā magar dil ne kahā
āsmāñ tujh ko bhī kyā kyā be-hunar achchhe lage
gosha-e-ḳhāna milā to soch āvāra huī
rāste be-samt the lekin safar achchhe lage
muflisoñ ko vo to naqsh-e-be-hunar samjhā magar
jab adad ke sāmne aa.e sifar achchhe lage
the hisar-e-shahr mein to baam-o-dar achchhe lage
aur virane mein jab aae khanDar achchhe lage
pattharon ka Dher hi goya muqaddar ban gaya
mere aangan ke daraKHton mein samar achchhe lage
fikr meri daera-dar-daera baTti gai
shauq se pairon ne jo pae bhanwar achchhe lage
kaun aisa din hua maqtal ki rut murjha gai
kab hua aisa hamein kandhon pe sar achchhe lage
apne gird-o-pesh ko dekha magar dil ne kaha
aasman tujh ko bhi kya kya be-hunar achchhe lage
gosha-e-KHana mila to soch aawara hui
raste be-samt the lekin safar achchhe lage
muflison ko wo to naqsh-e-be-hunar samjha magar
jab adad ke samne aae sifar achchhe lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.