the ek KHuda ke samne itne pasare hath
the ik ḳhudā ke sāmne itne pasāre haath
ik dūsre kī Dor na aa.ī hamāre haath
sāhil kī narm ret pe kuchh der to ruko
dariyā mirā badan hai to donoñ kināre haath
rakh kar hameñ ghumā diyā ḳhvāhish ke chaak par
tum ne alag hī Dhang se thāme hamāre haath
nāhaq hamārī jaan kā tum ne ziyāñ kiyā
pahle bhī kam hasīn nahīñ the tumhāre haath
sahrā meñ huuñ to qais barābar khaḌā huā
ret āñkhoñ meñ paḌe ki ab aa.eñ sitāre haath
the ek KHuda ke samne itne pasare hath
ek dusre ki Dor na aai hamare hath
sahil ki narm ret pe kuchh der to ruko
dariya mera badan hai to donon kinare hath
rakh kar hamein ghuma diya KHwahish ke chaak par
tum ne alag hi Dhang se thame hamare hath
nahaq hamari jaan ka tum ne ziyan kiya
pahle bhi kam hasin nahin the tumhaare hath
sahra mein hun to qais barabar khaDa hua
ret aankhon mein paDe ki ab aaen sitare hath
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 124)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.