the jo KHushbu wo hawa kya hote
the jo ḳhushbū vo havā kyā hote
barg-e-gul bād-e-sabā kyā hote
jaan dete rahe shohrat ke liye
log nāmoñ se rihā kyā hote
ham to ḳhud se bhī mushābah na hue
ham zamāne pe ravā kyā hote
rabt baḌhtā gayā mafhūm ke saath
harf se harf judā kyā hote
jin kī miTTī meñ na thī ḳhaak apnī
vo badan dast-e-duā kyā hote
saañs lete jo zamāne kī tarah
ham ajal se bhī qazā kyā hote
bādbāñ bhī na kabhī jin pe khule
vo samundar kī havā kyā hote
jin ko taḳhlīq kiyā maiñ ne 'samad'
vo sanam mere ḳhudā kyā hote
the jo KHushbu wo hawa kya hote
barg-e-gul baad-e-saba kya hote
jaan dete rahe shohrat ke liye
log namon se riha kya hote
hum to KHud se bhi mushabah na hue
hum zamane pe rawa kya hote
rabt baDhta gaya mafhum ke sath
harf se harf juda kya hote
jin ki miTTi mein na thi KHak apni
wo badan dast-e-dua kya hote
sans lete jo zamane ki tarah
hum ajal se bhi qaza kya hote
baadban bhi na kabhi jin pe khule
wo samundar ki hawa kya hote
jin ko taKHliq kiya main ne 'samad'
wo sanam mere KHuda kya hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.