the kabhi hum bhi haqiqat ab fasana ho gae
the kabhī ham bhī haqīqat ab fasāna ho ga.e
aa ke is duniyā meñ ham misl-e-zamāna ho ga.e
aap hī māñgī madad imdād ko aa.e bhī ḳhud
aap hī ham sar hue aur aap shāna ho ga.e
log jitne shahr meñ the bandagī ke pāsbāñ
ham se mil kar rāt-bhar meñ sūfiyāna ho ga.e
rāt-rānī se mohabbat thī hameñ kuchh is qadar
raat ko khilne lage aur rāt-rānā ho ga.e
charḳh par uḌte hue samjhī zamīñ kī ahmiyat
pañkh jab aa.e to ham bhī tā.irāna ho ga.e
shahr ke sab dushmanoñ par qahr TuuTā vaqt kā
muflisī meñ sab ke rishte dostāna ho ga.e
tiir koī aa ke lagnā thā hamārī piiTh meñ
ham ko honā thā nishāna ham nishāna ho ga.e
rāt-din kā suut kaatā hai dukhoñ kī raa.ī se
bante bante zindagī ham kār-ḳhāna ho ga.e
diin sab kā hī mohabbat be-niyāzī dil meñ hai
shahr ke bāshinde saare rāhulānā ho ga.e
the kabhi hum bhi haqiqat ab fasana ho gae
aa ke is duniya mein hum misl-e-zamana ho gae
aap hi mangi madad imdad ko aae bhi KHud
aap hi hum sar hue aur aap shana ho gae
log jitne shahr mein the bandagi ke pasban
hum se mil kar raat-bhar mein sufiyana ho gae
raat-rani se mohabbat thi hamein kuchh is qadar
raat ko khilne lage aur raat-rana ho gae
charKH par uDte hue samjhi zamin ki ahmiyat
pankh jab aae to hum bhi tairana ho gae
shahr ke sab dushmanon par qahr TuTa waqt ka
muflisi mein sab ke rishte dostana ho gae
tir koi aa ke lagna tha hamari piTh mein
hum ko hona tha nishana hum nishana ho gae
raat-din ka sut kata hai dukhon ki rai se
bante bante zindagi hum kar-KHana ho gae
din sab ka hi mohabbat be-niyazi dil mein hai
shahr ke bashinde sare rahulana ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.