the kabhi un ko hum aziz bahut
the kabhī un ko ham 'azīz bahut
is liye bhī haiñ ġham 'azīz bahut
tum ko talvār se mohabbat hai
par mujhe hai qalam 'azīz bahut
is liye vo mujhe rulātā hai
us ko haiñ dīda-nam 'azīz bahut
sah rahe ho ḳhushī ḳhushī logo
kyā tumheñ haiñ sitam 'azīz bahut
is liye bhī to khā rahe haiñ fareb
sab ko haiñ mohtaram 'azīz bahut
the kabhi un ko hum 'aziz bahut
is liye bhi hain gham 'aziz bahut
tum ko talwar se mohabbat hai
par mujhe hai qalam 'aziz bahut
is liye wo mujhe rulata hai
us ko hain dida-nam 'aziz bahut
sah rahe ho KHushi KHushi logo
kya tumhein hain sitam 'aziz bahut
is liye bhi to kha rahe hain fareb
sab ko hain mohtaram 'aziz bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.