the nigahon mein jin raston ke shajar aur the
the nigāhoñ meñ jin rāstoñ ke shajar aur the
dil-musāfir ko dar-pesh the jo safar aur the
bas rahā thā mirī soch ke āsmānoñ pe jo
aur hī shahr thā us ke sab bām-o-dar aur the
vo jo chehroñ pe likkhā huā ḳhauf thā aur thā
vo jo sapnoñ ke andar panapte the Dar aur the
sab jabīneñ vahāñ thiiñ zamīñ-bosiyoñ meñ magan
kaT ke kuchh aur uupar uThe the jo sar aur the
shauq tuġhyāniyoñ meñ bhī sañbhāle rahīñ dhaḌkaneñ
Duub kar jin meñ ubhrā na dil vo bhañvar aur the
un zamānoñ bhī apne qalam kī zabāñ thī yahī
lafz jab shahr-e-tahrīr meñ mo'atabar aur the
the nigahon mein jin raston ke shajar aur the
dil-musafir ko dar-pesh the jo safar aur the
bas raha tha meri soch ke aasmanon pe jo
aur hi shahr tha us ke sab baam-o-dar aur the
wo jo chehron pe likkha hua KHauf tha aur tha
wo jo sapnon ke andar panapte the Dar aur the
sab jabinen wahan thin zamin-bosiyon mein magan
kaT ke kuchh aur upar uThe the jo sar aur the
shauq tughyaniyon mein bhi sanbhaale rahin dhaDkanen
Dub kar jin mein ubhra na dil wo bhanwar aur the
un zamanon bhi apne qalam ki zaban thi yahi
lafz jab shahr-e-tahrir mein mo'atabar aur the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.