the sab ke aankh nak koi is mein shak na tha
the sab ke aañkh naak koī is meñ shak na thā
dekhā to itnī bhiiḌ meñ ik chehra tak na thā
yuuñ hai ki mere qatl ke darpe tamām umr
ḳhud maiñ thā aur ye mujhe ma.alūm tak na thā
bejā huā bajā huā jo kuchh huā huā
maḳhlūq vo falak kī na thī maiñ malak na thā
sadiyoñ kī zindagī meñ ulaT-pher ho ga.ī
aur lutf ye ki jeb meñ ik lamha tak na thā
jangal imāratoñ ke khaḌe the chahār-samt
DhūñDā to aadmī kā nishāñ duur tak na thā
shab thī to us ko chāñd kā jhūmar na thā nasīb
sūraj kā din ke māthe pe raushan tilak na thā
jumman miyāñ bhī the vahāñ panvāḌī-lāl bhī
'muztar' ġhazal sunāne kā ham ko hī haq na thā
the sab ke aankh nak koi is mein shak na tha
dekha to itni bhiD mein ek chehra tak na tha
yun hai ki mere qatl ke darpe tamam umr
KHud main tha aur ye mujhe malum tak na tha
beja hua baja hua jo kuchh hua hua
maKHluq wo falak ki na thi main malak na tha
sadiyon ki zindagi mein ulaT-pher ho gai
aur lutf ye ki jeb mein ek lamha tak na tha
jangal imaraton ke khaDe the chahaar-samt
DhunDa to aadmi ka nishan dur tak na tha
shab thi to us ko chand ka jhumar na tha nasib
suraj ka din ke mathe pe raushan tilak na tha
jumman miyan bhi the wahan panwaDi-lal bhi
'muztar' ghazal sunane ka hum ko hi haq na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.