the ujale jis jagah Thokar wahin khai gai
the ujāle jis jagah Thokar vahīñ khaa.ī ga.ī
raushnī āñkhoñ meñ kyā aa.ī ki bīnā.ī ga.ī
muskurā kar dekh lene ke fasāne ban ga.e
ik zarā sī baat thī aur kitnī phailā.ī ga.ī
sard jismoñ meñ harārat hī na aa.ī aaj tak
bārhā chāroñ taraf se aag barsā.ī ga.ī
ab to un ke sāmne bhī aa chukī hai maslahat
sach kahūñ to haath se sachchoñ ke sachchā.ī ga.ī
kārobār-e-zindagī chaltā hai sūrat dekh kar
har madad pahuñche hue logoñ meñ pahuñchā.ī ga.ī
ab mohabbat kā samundar ghaTte ghaTte rah gayā
Dubkiyāñ khā.eñ kahāñ paanī se gahrā.ī ga.ī
jāñkanī ke karb kā ehsās kyā hogā use
maut jis kī zindagī meñ bārhā aa.ī ga.ī
pahuñche kufristān to īmān taaza ho gayā
'ḳhizr' but-ḳhāne meñ bhī shān-e-ḳhudā paa.ī ga.ī
the ujale jis jagah Thokar wahin khai gai
raushni aankhon mein kya aai ki binai gai
muskura kar dekh lene ke fasane ban gae
ek zara si baat thi aur kitni phailai gai
sard jismon mein hararat hi na aai aaj tak
barha chaaron taraf se aag barsai gai
ab to un ke samne bhi aa chuki hai maslahat
sach kahun to hath se sachchon ke sachchai gai
karobar-e-zindagi chalta hai surat dekh kar
har madad pahunche hue logon mein pahunchai gai
ab mohabbat ka samundar ghaTte ghaTte rah gaya
Dubkiyan khaen kahan pani se gahrai gai
jaankani ke karb ka ehsas kya hoga use
maut jis ki zindagi mein barha aai gai
pahunche kufristan to iman taza ho gaya
'KHizr' but-KHane mein bhi shan-e-KHuda pai gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.