thi apne aap mein aatish-fishan hawa koi
thī apne aap meñ ātish-fishāñ havā koī
lagī thī aag kisī ko makāñ jalā koī
chale jo thaam ke kāñdhe vo fā.ede meñ rahe
kisī ne khaa.ī bhī Thokar agar girā koī
ye bāġhbāñ ke hunar kā kamāl thā shāyad
kisī kā biij lagāyā shajar ugā koī
tamām jism barahna lage the jab niklā
pahan ke besh-bahā ḳhushnumā qabā koī
ab is se baḌh ke bhī me.ār-e-adl kyā hogā
kisī ke jurm kī paane lagā sazā koī
nahīñ hai naġhma-e-hastī to sāz-e-marg sahī
miyān-e-shahr-e-ḳhamoshāñ uThe sadā koī
banā hai merī tamāzat se aab abr magar
mire hī khet pe barsī nahīñ ghaTā koī
unhīñ ke jism pe 'āsim' the be-shumār nishāñ
qabā pe jin kī na thā dāġh-e-bad-numā koī
thi apne aap mein aatish-fishan hawa koi
lagi thi aag kisi ko makan jala koi
chale jo tham ke kandhe wo faede mein rahe
kisi ne khai bhi Thokar agar gira koi
ye baghban ke hunar ka kamal tha shayad
kisi ka bij lagaya shajar uga koi
tamam jism barahna lage the jab nikla
pahan ke besh-baha KHushnuma qaba koi
ab is se baDh ke bhi mear-e-adl kya hoga
kisi ke jurm ki pane laga saza koi
nahin hai naghma-e-hasti to saz-e-marg sahi
miyan-e-shahr-e-KHamoshan uThe sada koi
bana hai meri tamazat se aab abr magar
mere hi khet pe barsi nahin ghaTa koi
unhin ke jism pe 'asim' the be-shumar nishan
qaba pe jin ki na tha dagh-e-bad-numa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.