thi chaal hashr mein bhi qayamat huzur ki
thī chaal hashr meñ bhī qayāmat huzūr kī
sach pūchhiye to jheñp ga.ī aañkh huur kī
sach hai ki rāz-e-vasl chhupānā nahīñ hai sahl
maiñ kyā kahūñ jo kahtī hai chitvan huzūr kī
jaane se dil ke kyuuñ na ho vīrān bazm-e-aish
shab bhar isī se rahtī thī bāteñ huzūr kī
ġhash aaj aa gayā hai ḳhudā jaane kal ho kyā
muusā ab aur sair karo koh-e-tūr kī
jannat meñ pūchhte hue 'jāved' ham chale
dūkān kis taraf hai sharāb-e-tahūr kī
thi chaal hashr mein bhi qayamat huzur ki
sach puchhiye to jhenp gai aankh hur ki
sach hai ki raaz-e-wasl chhupana nahin hai sahl
main kya kahun jo kahti hai chitwan huzur ki
jaane se dil ke kyun na ho viran bazm-e-aish
shab bhar isi se rahti thi baaten huzur ki
ghash aaj aa gaya hai KHuda jaane kal ho kya
musa ab aur sair karo koh-e-tur ki
jannat mein puchhte hue 'jawed' hum chale
dukan kis taraf hai sharab-e-tahur ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.