thi haqiqat ki wo tha KHwab use jaane do
thī haqīqat ki vo thā ḳhvāb use jaane do
chāñd nikle the muqābil mire sirhāne do
aql aur dil hue yakjā ye tamāshā thā ajab
ek maqsad thā nazar aa.e the begāne do
ek par us kā thā sar dūsre par ġhair kā thā
ye to achchhā huā the paas mire shāne do
pāsbāñ haT ga.e qismat ne merā saath diyā
us ne jab kah diyā us ko mire paas aane do
shauq kā daav har ik Thiik paḌā dil kī sunī
dil ne samjhāyā vo sharmātā hai sharmāne do
tum ho mahrūm to tum sabr hī pā jaao 'suhail'
jis ne paa.ī hai mohabbat use tum paane do
thi haqiqat ki wo tha KHwab use jaane do
chand nikle the muqabil mere sirhane do
aql aur dil hue yakja ye tamasha tha ajab
ek maqsad tha nazar aae the begane do
ek par us ka tha sar dusre par ghair ka tha
ye to achchha hua the pas mere shane do
pasban haT gae qismat ne mera sath diya
us ne jab kah diya us ko mere pas aane do
shauq ka daw har ek Thik paDa dil ki suni
dil ne samjhaya wo sharmata hai sharmane do
tum ho mahrum to tum sabr hi pa jao 'suhail'
jis ne pai hai mohabbat use tum pane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.