thi KHwab mein bhi jalwa-numai tamam raat
thī ḳhvāb meñ bhī jalva-numā.ī tamām raat
niiñd aa.ī bhī to niiñd na aa.ī tamām raat
samjhā na dil ne ahd-shikan tujh ko tā-sahar
kartā rahā adū kī burā.ī tamām raat
tum se to ḳhair va.ada-ḳhilāfī huī huī
kam-baḳht maut bhī to na aa.ī tamām raat
hichkī batā rahī thī ki us bevafā ko bhī
merī hī tarah niiñd na aa.ī tamām raat
ḳhalvat-gah-e-talab meñ ujālā na ho sakā
lau shama-e-ārzū kī baḌhā.ī tamām raat
jab ho sakā na koī mudāvā-e-soz-e-ishq
ashkoñ ne ġham kī aag bujhā.ī tamām raat
rah rah ke dard uThtā rahā aur chashm-e-shauq
apne hī āñsuoñ meñ nahā.ī tamām raat
'ahmar' milā thā jis se hameñ dard-e-āshiqī
dete rahe usī kī duhā.ī tamām raat
thi KHwab mein bhi jalwa-numai tamam raat
nind aai bhi to nind na aai tamam raat
samjha na dil ne ahd-shikan tujh ko ta-sahar
karta raha adu ki burai tamam raat
tum se to KHair wada-KHilafi hui hui
kam-baKHt maut bhi to na aai tamam raat
hichki bata rahi thi ki us bewafa ko bhi
meri hi tarah nind na aai tamam raat
KHalwat-gah-e-talab mein ujala na ho saka
lau shama-e-arzu ki baDhai tamam raat
jab ho saka na koi mudawa-e-soz-e-ishq
ashkon ne gham ki aag bujhai tamam raat
rah rah ke dard uThta raha aur chashm-e-shauq
apne hi aansuon mein nahai tamam raat
'ahmar' mila tha jis se hamein dard-e-ashiqi
dete rahe usi ki duhai tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.