thi kuchh na KHata phir bhi pasheman rahe hain
thī kuchh na ḳhatā phir bhī pashemān rahe haiñ
kyā kyā ġham-e-hālāt ke unvān rahe haiñ
ḳhud jin ko na irfān thā taqdīs-e-junūñ kā
vo bhī mirī hastī ke nigahbān rahe haiñ
jin ko mirī har baat pe vahshat kā gumāñ thā
vo merī ḳhamoshī kā burā maan rahe haiñ
dilchasp nazar aa.ī thī ye rasm-o-rah-e-dil
par jaan kā ik rog hai ab jaan rahe haiñ
jo bhī hai use tañgī-e-dāmāñ kā gilā hai
ek ek ko ham duur se pahchān rahe haiñ
thi kuchh na KHata phir bhi pasheman rahe hain
kya kya gham-e-haalat ke unwan rahe hain
KHud jin ko na irfan tha taqdis-e-junun ka
wo bhi meri hasti ke nigahban rahe hain
jin ko meri har baat pe wahshat ka guman tha
wo meri KHamoshi ka bura man rahe hain
dilchasp nazar aai thi ye rasm-o-rah-e-dil
par jaan ka ek rog hai ab jaan rahe hain
jo bhi hai use tangi-e-daman ka gila hai
ek ek ko hum dur se pahchan rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.