thi mere dil ki pyas tapish dasht ki na thi
thī mere dil kī pyaas tapish dasht kī na thī
bujhtī samundaroñ se ye vo tishnagī na thī
ḳhud meñ magan the log koī be-ḳhudī na thī
dīvāngī kā Dhoñg thā dīvāngī na thī
rasta bhī ab to bhuul ga.e apne ghar kā ham
vāraftagī to thī magar itnī kabhī na thī
apnī sadā kī guuñj thī sahrā-e-zīst meñ
us ke sivā kahīñ koī āvāz hī na thī
dil se 'zafar' huā thā jo sho.ala sā ik buland
thā vo bhī ik fareb-e-nazar raushnī na thī
thi mere dil ki pyas tapish dasht ki na thi
bujhti samundaron se ye wo tishnagi na thi
KHud mein magan the log koi be-KHudi na thi
diwangi ka Dhong tha diwangi na thi
rasta bhi ab to bhul gae apne ghar ka hum
waraftagi to thi magar itni kabhi na thi
apni sada ki gunj thi sahra-e-zist mein
us ke siwa kahin koi aawaz hi na thi
dil se 'zafar' hua tha jo shoala sa ek buland
tha wo bhi ek fareb-e-nazar raushni na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.