thi nazare ki ghat aankhon mein
thī nazāre kī ghaat āñkhoñ meñ
kaT ga.ī saarī raat āñkhoñ meñ
dekho un āñkhoñ kī suḳhan-goī
hai sharārat kī baat āñkhoñ meñ
talḳh bāteñ haiñ mīThī nazreñ haiñ
zahr muñh meñ banāt āñkhoñ meñ
ronā qismat meñ hai marūñ kyūñkar
hai ye āb-e-hayāt āñkhoñ meñ
vo jo dekhe jiyūñ na dekhe marūñ
hai hayāt-o-mamāt āñkhoñ meñ
dekhiye chashm-e-afv-e-rahmat se
'mehr' kī hai najāt āñkhoñ meñ
thi nazare ki ghat aankhon mein
kaT gai sari raat aankhon mein
dekho un aankhon ki suKHan-goi
hai shararat ki baat aankhon mein
talKH baaten hain miThi nazren hain
zahr munh mein banat aankhon mein
rona qismat mein hai marun kyunkar
hai ye aab-e-hayat aankhon mein
wo jo dekhe jiyun na dekhe marun
hai hayat-o-mamat aankhon mein
dekhiye chashm-e-afw-e-rahmat se
'mehr' ki hai najat aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.