Thik hai dil pe tere dard ka dhawa bhi hai
Thiik hai dil pe tire dard kā dhāvā bhī hai
par udāsī kā sabab is ke 'alāva bhī hai
ham jo lete haiñ sar-e-'ām balā.eñ terī
kuchh mohabbat hai magar kuchh ye dikhāvā bhī hai
ye jo har baat vo kartā nahīñ apnī mujh se
is kā matlab hai koī mere 'alāva bhī hai
koī batlā.e maiñ us shaḳhs ko chhoḌūñ kaise
jo mirā dukh hai mire dukh kā mudāvā bhī hai
chāñd vaise bhī nazar aatā hai ḳhush-bāsh sadā
aaj to ḳhair samundar kā bulāvā bhī hai
jis jagah tū hai koī aur nahīñ aa saktā
to samajh le ki ye vā'da bhī hai dā'vā bhī hai
raat āñkhoñ se bahā hai to jalā diiñ āñkheñ
maiñ samajhtā thā lahū hai ye to laavā bhī hai
Thik hai dil pe tere dard ka dhawa bhi hai
par udasi ka sabab is ke 'alawa bhi hai
hum jo lete hain sar-e-'am balaen teri
kuchh mohabbat hai magar kuchh ye dikhawa bhi hai
ye jo har baat wo karta nahin apni mujh se
is ka matlab hai koi mere 'alawa bhi hai
koi batlae main us shaKHs ko chhoDun kaise
jo mera dukh hai mere dukh ka mudawa bhi hai
chand waise bhi nazar aata hai KHush-bash sada
aaj to KHair samundar ka bulawa bhi hai
jis jagah tu hai koi aur nahin aa sakta
to samajh le ki ye wa'da bhi hai da'wa bhi hai
raat aankhon se baha hai to jala din aankhen
main samajhta tha lahu hai ye to lawa bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.