Thik hai ki ye jahan muddat se uryani pe tha
Thiik hai ki ye jahāñ muddat se uryānī pe thā
par kise yuuñ naaz kal tak chāk-dāmānī pe thā
tīrgī-e-āb-o-gil ne dhyān toḌā yak-ba-yak
varna kal shab chāñd apnī puurī tābānī pe thā
Duub kar aise taḳhayyul meñ khulā vo māh-rū
gāhe-gāhe ik shikan us ḳhanda-peshānī pe thā
sab zuhūr-e-ibn-e-mariyam kī duā karte rahe
dhyān un sab kā magar taḳht-e-sulaimānī pe thā
ham hujūm-e-dahr meñ hote haiñ aise āj-kal
jaise yūsuf bhā.iyoñ meñ chāh-e-kan.ānī pe thā
Thik hai ki ye jahan muddat se uryani pe tha
par kise yun naz kal tak chaak-damani pe tha
tirgi-e-ab-o-gil ne dhyan toDa yak-ba-yak
warna kal shab chand apni puri tabani pe tha
Dub kar aise taKHayyul mein khula wo mah-ru
gahe-gahe ek shikan us KHanda-peshani pe tha
sab zuhur-e-ibn-e-mariyam ki dua karte rahe
dhyan un sab ka magar taKHt-e-sulaimani pe tha
hum hujum-e-dahr mein hote hain aise aaj-kal
jaise yusuf bhaiyon mein chah-e-kanani pe tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.