Thik hai mujhse na kar baat tu ja ja ja ja
Thiik hai mujh se na kar baat tū jā jā jā jā
ab na kar mujh se mulāqāt tū jā jā jā jā
jaane vaale maiñ tujhe rok sakūñgā kaise
kaT hī jā.egī mirī raat tū jā jā jā jā
dil meñ ab koī mohabbat nahīñ baaqī mere
kah gayā chhoḌ ke vo saath tū jā jā jā jā
mil hī jā.egā tire baad sahārā koī
ab na kar mujh pe ināyāt tū jā jā jā jā
ye jo tārīkī hai hamrāz bhī ho saktī hai
mujh ko mat de koī ḳhairāt tū jā jā jā jā
dhajjiyāñ aisī uḌā dard kī mere jānāñ
ho mirī aañkh se barsāt tū jā jā jā jā
ho ke bezār 'hirā' dil ne bhī chupkī dhar lī
ishq kī mere huī maat tū jā jā jā jā
Thik hai mujh se na kar baat tu ja ja ja ja
ab na kar mujh se mulaqat tu ja ja ja ja
jaane wale main tujhe rok sakunga kaise
kaT hi jaegi meri raat tu ja ja ja ja
dil mein ab koi mohabbat nahin baqi mere
kah gaya chhoD ke wo sath tu ja ja ja ja
mil hi jaega tere baad sahaara koi
ab na kar mujh pe inayat tu ja ja ja ja
ye jo tariki hai hamraaz bhi ho sakti hai
mujh ko mat de koi KHairaat tu ja ja ja ja
dhajjiyan aisi uDa dard ki mere jaanan
ho meri aankh se barsat tu ja ja ja ja
ho ke bezar 'hira' dil ne bhi chupki dhar li
ishq ki mere hui mat tu ja ja ja ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.