thin ghazal si aankhen morni si laDki thi
thiiñ ġhazāl sī āñkheñ mornī sī laḌkī thī
ḳhushbūoñ kī saudā.ī sandalī sī laḌkī thī
dil ke sehn-e-gulshan meñ ik kalī sī laḌkī thī
par zarā sī nādāñ thī bāvlī sī laḌkī thī
chāñd maiñ kahūñ us ko yā ke chāñdnī kah duuñ
ḳhvāb meñ jo aatī thī chāñdnī sī laḌkī thī
phuul bhī kahūñ us ko raushnī bhī likh duuñ maiñ
pankhuḌī sī laḌkī thī phuljhaḌī sī laḌkī thī
paas se vo guzrī to dil hī le ga.ī merā
mujh ko kar ga.ī pāgal sāñvlī sī laḌkī thī
tiir us ne nazroñ ke aise mujh pe pheñke ki
kar ga.ī mujhe ghāyal vo chhurī sī laḌkī thī
chāshnī sī ghultī thī jab vo gungunātī thī
rāgnī sī laḌkī thī bāñsurī sī laḌkī thī
us ko dekhā mahfil meñ aur dil hī de baiThā
phir nazar na aa.ī vo ajnabī sī laḌkī thī
jā rahā thā raste se to mujhe nazar aa.ī
haal maiñ ne pūchhā vo ik Darī sī laḌkī thī
vo zarā sī naT-khaT thī ḳhuub tang kartī thī
man-chalī sī laḌkī thī chulbulī sī laḌkī thī
ḳhuub ġhazleñ likhte ho us ke baare meñ 'ātif'
kyā koī parī thī vo yā parī sī laḌkī thī
thin ghazal si aankhen morni si laDki thi
KHushbuon ki saudai sandali si laDki thi
dil ke sehn-e-gulshan mein ek kali si laDki thi
par zara si nadan thi bawli si laDki thi
chand main kahun us ko ya ke chandni kah dun
KHwab mein jo aati thi chandni si laDki thi
phul bhi kahun us ko raushni bhi likh dun main
pankhuDi si laDki thi phuljhaDi si laDki thi
pas se wo guzri to dil hi le gai mera
mujh ko kar gai pagal sanwli si laDki thi
tir us ne nazron ke aise mujh pe phenke ki
kar gai mujhe ghayal wo chhuri si laDki thi
chashni si ghulti thi jab wo gungunati thi
ragni si laDki thi bansuri si laDki thi
us ko dekha mahfil mein aur dil hi de baiTha
phir nazar na aai wo ajnabi si laDki thi
ja raha tha raste se to mujhe nazar aai
haal main ne puchha wo ek Dari si laDki thi
wo zara si naT-khaT thi KHub tang karti thi
man-chali si laDki thi chulbuli si laDki thi
KHub ghazlen likhte ho us ke bare mein 'atif'
kya koi pari thi wo ya pari si laDki thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.