thin hawaen tund kitni mujhko andaza na tha
thiiñ havā.eñ tund kitnī mujh ko andāza na thā
kyūñki jis kamre meñ maiñ thā us meñ darvāza na thā
vaqt badlā to sabhī sāthī bichhaḌ kar rah ga.e
saath tum bhī chhoḌ doge is kā andāza na thā
ḳhuun dāman par na thā go dard thā be-intihā
kyūñki dil kā zaḳhm gahrā thā magar taaza na thā
kis meñ himmat hai jo mere hausloñ ko toḌtā
ye bikhar jaatā ġhamoñ se aisā shīrāza na thā
daur-e-hāzir kī ye dul.han kis tarah lagtī hasīn
jab ki chehre par hayā aur sharm kā ġhāza na thā
har koī bantā hai 'ġhālib' 'mīr' 'momin' aur 'jigar'
jab sunā ham ne to koī sher bhī taaza na thā
vo vafāoñ kā jafāoñ se sila dete rahe
kyā 'mayank' un kī mohabbat kā ye ḳhamyāza na thā
thin hawaen tund kitni mujh ko andaza na tha
kyunki jis kamre mein main tha us mein darwaza na tha
waqt badla to sabhi sathi bichhaD kar rah gae
sath tum bhi chhoD doge is ka andaza na tha
KHun daman par na tha go dard tha be-intiha
kyunki dil ka zaKHm gahra tha magar taza na tha
kis mein himmat hai jo mere hauslon ko toDta
ye bikhar jata ghamon se aisa shiraaza na tha
daur-e-hazir ki ye dulhan kis tarah lagti hasin
jab ki chehre par haya aur sharm ka ghaza na tha
har koi banta hai 'ghaalib' 'mir' 'momin' aur 'jigar'
jab suna hum ne to koi sher bhi taza na tha
wo wafaon ka jafaon se sila dete rahe
kya 'mayank' un ki mohabbat ka ye KHamyaza na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.