thin ek sukut se zahir mohabbaten apni
thiiñ ik sukūt se zāhir mohabbateñ apnī
ab āñsuoñ ne bhī baḳhsheñ ināyateñ apnī
ki barg-hā-e-ḳhizāñ dāda-jūñ uḌaa.e hue
kashāñ kashāñ liye phirtī haiñ vahshateñ apnī
sabhī ko shak hai ki ḳhud ham meñ bevafā.ī hai
kahāñ kahāñ na huī haiñ shikāyateñ apnī
chale jahāñ se the ab aao lauT jaa.eñ vahīñ
nikālīñ rāhoñ ne ham se adāvateñ apnī
kuchh aur kar degī bojhal fazā ko ḳhāmoshī
chalo ki shor machā.eñ sharārteñ apnī
hamārā jo bhī ta.alluq thā us ke dam se thā
lo aaj ḳhatm huiiñ sab riqābateñ apnī
thin ek sukut se zahir mohabbaten apni
ab aansuon ne bhi baKHshen inayaten apni
ki barg-ha-e-KHizan dada-jun uDae hue
kashan kashan liye phirti hain wahshaten apni
sabhi ko shak hai ki KHud hum mein bewafai hai
kahan kahan na hui hain shikayaten apni
chale jahan se the ab aao lauT jaen wahin
nikalin rahon ne hum se adawaten apni
kuchh aur kar degi bojhal faza ko KHamoshi
chalo ki shor machaen shararten apni
hamara jo bhi talluq tha us ke dam se tha
lo aaj KHatm huin sab riqabaten apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.