Thikana ho na ho phir bhi Thikana DhunD lete hain
Thikana ho na ho phir bhi Thikana DhunD lete hain
Kailash Guru Swami
MORE BYKailash Guru Swami
Thikānā ho na ho phir bhī Thikānā DhūñD lete haiñ
qafas meñ rah ke bhī ham āshiyāna DhūñD lete haiñ
kitāb-e-dil meñ vo ġham ko chhupā leñge to kyā hogā
magar ham dard-o-ġham kā har ḳhazāna DhūñD lete haiñ
kabhī un ko sahāre kī zarūrat hī nahīñ paḌtī
parinde ḳhud-ba-ḳhud apnā Thikānā DhūñD lete haiñ
zamāne kī nazar meñ qatra-e-shabnam sahī lekin
kuchh aise haiñ jo ashkoñ meñ fasāna DhūñD lete haiñ
ġhizā hansoñ ko motī kī koī lā kar nahīñ detā
vo ḳhud sīpoñ ke andar apnā daana DhūñD lete haiñ
mirī tanhā.iyoñ kā zikr jab un tak nahīñ pahuñchā
to kis kī rahbarī se vo Thikānā DhūñD lete haiñ
jab un kā naam apnī ruuh meñ gudvā liyā 'svāmī'
to phir kyoñ tark-e-ulfat kā bahāna DhūñD lete haiñ
Thikana ho na ho phir bhi Thikana DhunD lete hain
qafas mein rah ke bhi hum aashiyana DhunD lete hain
kitab-e-dil mein wo gham ko chhupa lenge to kya hoga
magar hum dard-o-gham ka har KHazana DhunD lete hain
kabhi un ko sahaare ki zarurat hi nahin paDti
parinde KHud-ba-KHud apna Thikana DhunD lete hain
zamane ki nazar mein qatra-e-shabnam sahi lekin
kuchh aise hain jo ashkon mein fasana DhunD lete hain
ghiza hanson ko moti ki koi la kar nahin deta
wo KHud sipon ke andar apna dana DhunD lete hain
meri tanhaiyon ka zikr jab un tak nahin pahuncha
to kis ki rahbari se wo Thikana DhunD lete hain
jab un ka nam apni ruh mein gudwa liya 'swami'
to phir kyon tark-e-ulfat ka bahana DhunD lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.