thoDa kabhi kabhi to ziyaada laga hua
thoḌā kabhī kabhī to ziyāda lagā huā
rahtā hai dil meñ koī tamāshā lagā huā
tujh ko maiñ chhoḌ to duuñ mirī dilrubā magar
kab chhūTtā hai koī bhī nashsha lagā huā
paayā bhī maiñ ne us ko mukammal nahīñ hai aur
khone kā us ke rahtā hai dhaḌkā lagā huā
dil hī ko mere bhāyā nahīñ vo parāyā peḌ
shāḳhoñ pe us ke phal bhī thā varna lagā huā
ab ke havā-e-'ishq chalī hai kuchh is tarah
jis samt dekho hai yahī charchā lagā huā
taqdīr meñ likhī nahīñ shāyad koī ḳhushī
har vaqt ġham kā rahtā hai tāñtā lagā huā
mujh ko lagā thā zaḳhm koī pahlī pahlī baar
aur zaḳhm bhī thā mujh ko vo gahrā lagā huā
thoDa kabhi kabhi to ziyaada laga hua
rahta hai dil mein koi tamasha laga hua
tujh ko main chhoD to dun meri dilruba magar
kab chhuTta hai koi bhi nashsha laga hua
paya bhi main ne us ko mukammal nahin hai aur
khone ka us ke rahta hai dhaDka laga hua
dil hi ko mere bhaya nahin wo paraya peD
shaKHon pe us ke phal bhi tha warna laga hua
ab ke hawa-e-'ishq chali hai kuchh is tarah
jis samt dekho hai yahi charcha laga hua
taqdir mein likhi nahin shayad koi KHushi
har waqt gham ka rahta hai tanta laga hua
mujh ko laga tha zaKHm koi pahli pahli bar
aur zaKHm bhi tha mujh ko wo gahra laga hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.