thoDi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha
thoḌī der ko ham jo kahīñ ruk jaate to ye mumkin thā
mil hī jaatā vo jo apne ilāqe kā ik sākin thā
kuchh bhī yaad nahīñ ab paḌtā kab pardes ko nikle the
shāyad shaam lagī thī Dhalne yā shāyad chaḌhtā din thā
ham ne jatan to laakh kiye the vaqt ne aisī karvaT lī
apnī jaḌoñ se ham juḌ paate ek yahī nā-mumkin thā
vo ik sāneha ham na jise kah paa.e ab tak guzrā jab
kaise kaise dil se chāhā thā ki na sach ho lekin thā
'talḳh' nahīñ thā sahl ye lahja jīvan bhar kī tapasyā hai
har jazbe ke ham zāmin the dard hamārā zāmin thā
thoDi der ko hum jo kahin ruk jate to ye mumkin tha
mil hi jata wo jo apne ilaqe ka ek sakin tha
kuchh bhi yaad nahin ab paDta kab pardes ko nikle the
shayad sham lagi thi Dhalne ya shayad chaDhta din tha
hum ne jatan to lakh kiye the waqt ne aisi karwaT li
apni jaDon se hum juD pate ek yahi na-mumkin tha
wo ek saneha hum na jise kah pae ab tak guzra jab
kaise kaise dil se chaha tha ki na sach ho lekin tha
'talKH' nahin tha sahl ye lahja jiwan bhar ki tapasya hai
har jazbe ke hum zamin the dard hamara zamin tha
- Book : Waseela (Pg. 23)
- Author : Manmohan Talkh
- Publication : Meyaar Publications, Delhi (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.