thoDi hairan thi ghabrai thi sharmai bahut
thoḌī hairān thī ghabrā.ī thī sharmā.ī bahut
hasrat-e-dīd bujhī bujh ke bhī taḌpā.ī bahut
tum se ābād ye āñgan thā mire purkhoñ kā
suunī suunī mujhe lagtī hai ab añgnā.ī bahut
peḌ jitne the sabhī kaaT diye the ham ne
bārisheñ rukte hī in peḌoñ kī yaad aa.ī bahut
kal ufuq par na sitāre the na mahtāb na rang
thī taḳhayyul ke bhī bāzār meñ mahñgā.ī bahut
ik sanobar thā vahāñ niim vahāñ sarv vahāñ
merī miTTī meñ zarā pahle thī yakjā.ī bahut
tū agar mujh se ḳhafā ho ke gayā to kyā ġham
tujh se pahle bhī nazar aa.e haiñ harjā.ī bahut
qais mash.hūr huā ishq meñ vahdat rakh kar
varna the husn ke is duniyā meñ saudā.ī bahut
thoDi hairan thi ghabrai thi sharmai bahut
hasrat-e-did bujhi bujh ke bhi taDpai bahut
tum se aabaad ye aangan tha mere purkhon ka
suni suni mujhe lagti hai ab angnai bahut
peD jitne the sabhi kaT diye the hum ne
barishen rukte hi in peDon ki yaad aai bahut
kal ufuq par na sitare the na mahtab na rang
thi taKHayyul ke bhi bazar mein mahngai bahut
ek sanobar tha wahan nim wahan sarw wahan
meri miTTi mein zara pahle thi yakjai bahut
tu agar mujh se KHafa ho ke gaya to kya gham
tujh se pahle bhi nazar aae hain harjai bahut
qais mashhur hua ishq mein wahdat rakh kar
warna the husn ke is duniya mein saudai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.