thoDi ruswai bhi to ishq ke izhaar mein ho
thoḌī rusvā.ī bhī to 'ishq ke iz.hār meñ ho
ho jo takrār to kuchh lutf bhī takrār meñ ho
jāñch lo nabz zarā dafn se pahle kyoñ ki
vo adākār hai shāyad kisī kirdār meñ ho
is liye log dhuāñ dekhne ko jaate haiñ
hai yaqīñ aag kā sach kal kisī aḳhbār meñ ho
kaash ye shahr mirī jeb kā rakh letā bharam
jo mujhe chāhiye kam daam meñ bāzār meñ ho
in sharīfoñ pe lagā leñ ka.ī ilzām magar
koī be-dāġh magar aap kī sarkār meñ ho
saḳht gardan bhī kaTe aur na mahsūs ho dard
ye hunar bhī to kisī haath kī talvār meñ ho
kaun aa.egā musībat meñ hifāzat ke liye
koī insāñ to bharose kā nigah-dār meñ ho
maañg le jaan bhī ulfat meñ to maiñ de dūñgā
shart hai dil ko sukūñ yaar ke dīdār meñ ho
'aib duniyā ke salīqe se batā.e sab ko
hausla itnā 'asīm' aaj ke fankār meñ ho
thoDi ruswai bhi to 'ishq ke izhaar mein ho
ho jo takrar to kuchh lutf bhi takrar mein ho
jaanch lo nabz zara dafn se pahle kyon ki
wo adakar hai shayad kisi kirdar mein ho
is liye log dhuan dekhne ko jate hain
hai yaqin aag ka sach kal kisi aKHbar mein ho
kash ye shahr meri jeb ka rakh leta bharam
jo mujhe chahiye kam dam mein bazar mein ho
in sharifon pe laga len kai ilzam magar
koi be-dagh magar aap ki sarkar mein ho
saKHt gardan bhi kaTe aur na mahsus ho dard
ye hunar bhi to kisi hath ki talwar mein ho
kaun aaega musibat mein hifazat ke liye
koi insan to bharose ka nigah-dar mein ho
mang le jaan bhi ulfat mein to main de dunga
shart hai dil ko sukun yar ke didar mein ho
'aib duniya ke saliqe se batae sab ko
hausla itna 'asim' aaj ke fankar mein ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.