thoDi si miTTi ki aur do bund pani ki kitab
thoḌī sī miTTī kī aur do buuñd paanī kī kitāb
ho agar bas meñ to likheñ zindagānī kī kitāb
ratjage tanhā.iyāñ paane kā kho dene kā zikr
lījiye paḌh lījiye merī javānī kī kitāb
kah rahī hai shahr kī barbādiyoñ kī dāstāñ
adh-jale kuchh kāġhazoñ meñ ik kahānī kī kitāb
zindagī bhar kufr ke fatvoñ kī zad meñ thā vo shaḳhs
mo'atabar Thahrī hai ab jis āñ-jahānī kī kitāb
vaqt ke zulmat-kade meñ hai bhalā kis ko davām
ab kahāñ se lā.ūñ maiñ terī nishānī kī kitāb
dekhiye jis ko liye phirtā hai 'anvar' dosh par
apnī nākāmī kisī kī kāmrānī kī kitāb
thoDi si miTTi ki aur do bund pani ki kitab
ho agar bas mein to likhen zindagani ki kitab
ratjage tanhaiyan pane ka kho dene ka zikr
lijiye paDh lijiye meri jawani ki kitab
kah rahi hai shahr ki barbaadiyon ki dastan
adh-jale kuchh kaghazon mein ek kahani ki kitab
zindagi bhar kufr ke fatwon ki zad mein tha wo shaKHs
mo'atabar Thahri hai ab jis aan-jahani ki kitab
waqt ke zulmat-kade mein hai bhala kis ko dawam
ab kahan se laun main teri nishani ki kitab
dekhiye jis ko liye phirta hai 'anwar' dosh par
apni nakaami kisi ki kaamrani ki kitab
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.