thoDi si waz oDh li aur waz-dar ho gae
thoDi si waz oDh li aur waz-dar ho gae
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
thoḌī sī vaz' oḌh lī aur vaz'-dār ho ga.e
ashāb-e-izz-o-jāh meñ ham bhī shumār ho ga.e
ham bhī chaTān the magar zarb-e-shadīd vaqt se
har lamha TūTte rahe āḳhir ġhubār ho ga.e
tarkash meñ jis ke tiir the na haath meñ kamān thī
shūmī-e-baḳht dekhte us kā shikār ho ga.e
manDī meñ le to aa.e ho lekin vo bik na pā.eñge
mausam-e kī maar se jo phuul dāġhdār ho ga.e
sharm-o-hayā adab ke jo the kuchh libās-e-fāḳhira
ghar meñ rakhe rakhe hī vo taar taar ho ga.e
sab ke huqūq kuchh na kuchh haiñ qarz merī zaat par
kaise chukā.ūñgā vahāñ itne udhār ho ga.e
thoDi si waz' oDh li aur waz'-dar ho gae
ashab-e-izz-o-jah mein hum bhi shumar ho gae
hum bhi chaTan the magar zarb-e-shadid waqt se
har lamha TuTte rahe aaKHir ghubar ho gae
tarkash mein jis ke tir the na hath mein kaman thi
shumi-e-baKHt dekhte us ka shikar ho gae
manDi mein le to aae ho lekin wo bik na paenge
mausam-e ki mar se jo phul daghdar ho gae
sharm-o-haya adab ke jo the kuchh libas-e-faKHira
ghar mein rakhe rakhe hi wo tar tar ho gae
sab ke huquq kuchh na kuchh hain qarz meri zat par
kaise chukaunga wahan itne udhaar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.