Thokaren lagti hain manzil pe guzar hone tak
Thokareñ lagtī haiñ manzil pe guzar hone tak
hausla chāhiye itmām-e-safar hone tak
jal ke marte haiñ patañge to guzartā hai ta.ab
sham.a is vāste rotī hai sahar hone tak
jī meñ ye Thaan ke baiThe haiñ tirī chaukhaT par
ham na uTTheñge ināyat kī nazar hone tak
puḳhtagī fan meñ tire aa.egī aate aate
arsa darkār hai paude se shajar hone tak
Thokaren lagti hain manzil pe guzar hone tak
hausla chahiye itmam-e-safar hone tak
jal ke marte hain patange to guzarta hai tab
shama is waste roti hai sahar hone tak
ji mein ye Than ke baiThe hain teri chaukhaT par
hum na uTThenge inayat ki nazar hone tak
puKHtagi fan mein tere aaegi aate aate
arsa darkar hai paude se shajar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.